shamsher-e-barhana maang gazab baalon ki mahak phir waisi hi | शमशीर-ए-बरहना माँग ग़ज़ब बालों की महक फिर वैसी ही

  - Bahadur Shah Zafar

shamsher-e-barhana maang gazab baalon ki mahak phir waisi hi
jude ki gundhaavat qahr-e-khuda baalon ki mahak phir waisi hi

aankhen hain katoraa si vo sitam gardan hai suraahi-daar gazab
aur usi mein sharaab-e-surkhi-e-paan rakhti hai jhalak phir waisi hi

har baat mein us ki garmi hai har naaz mein us ke shokhi hai
qamat hai qayamat chaal pari chalne mein fadak phir waisi hi

gar rang bhobooka aatish hai aur beeni shola-e-sarkash hai
to bijli si kaunde hai pari aariz ki chamak phir waisi hi

nau-khez kuchen do guncha hain hai narm shikam ik khirman-e-gul
baarik kamar jo shaakh-e-gul rakhti hai lachak phir waisi hi

hai naaf koi girdaab-e-bala aur gol surin raanen hain safa
hai saaq bilorin sham-e-ziya paanv ki kafk phir waisi hi

mehram hai habaab-e-aab-e-ravaan suraj ki kiran hai us pe lipt
jaali ki kurtee hai vo bala gote ki dhanak phir waisi hi

vo gaaye to aafat laaye hai har taal mein leve jaan nikaal
naach us ka uthaaye sau fitne ghungroo ki jhankar phir waisi hi

har baat pe ham se vo jo zafar karta hai lagaavat muddat se
aur us ki chaahat rakhte hain ham aaj talak phir waisi hi

शमशीर-ए-बरहना माँग ग़ज़ब बालों की महक फिर वैसी ही
जूड़े की गुंधावट क़हर-ए-ख़ुदा बालों की महक फिर वैसी ही

आँखें हैं कटोरा सी वो सितम गर्दन है सुराही-दार ग़ज़ब
और उसी में शराब-ए-सुर्ख़ी-ए-पाँ रखती है झलक फिर वैसी ही

हर बात में उस की गर्मी है हर नाज़ में उस के शोख़ी है
क़ामत है क़यामत चाल परी चलने में फड़क फिर वैसी ही

गर रंग भबूका आतिश है और बीनी शोला-ए-सरकश है
तो बिजली सी कौंदे है परी आरिज़ की चमक फिर वैसी ही

नौ-ख़ेज़ कुचें दो ग़ुंचा हैं है नर्म शिकम इक ख़िर्मन-ए-गुल
बारीक कमर जो शाख़-ए-गुल रखती है लचक फिर वैसी ही

है नाफ़ कोई गिर्दाब-ए-बला और गोल सुरीं रानें हैं सफ़ा
है साक़ बिलोरीं शम-ए-ज़िया पाँव की कफ़क फिर वैसी ही

महरम है हबाब-ए-आब-ए-रवाँ सूरज की किरन है उस पे लिपट
जाली की कुर्ती है वो बला गोटे की धनक फिर वैसी ही

वो गाए तो आफ़त लाए है हर ताल में लेवे जान निकाल
नाच उस का उठाए सौ फ़ित्ने घुँगरू की झनक फिर वैसी ही

हर बात पे हम से वो जो 'ज़फ़र' करता है लगावट मुद्दत से
और उस की चाहत रखते हैं हम आज तलक फिर वैसी ही

  - Bahadur Shah Zafar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari