khizaan ka koi vujood hai na chaman mein rang-e-bahaar hai
jise jaanta hai tu kaarwaan vo tiri nazar ka ghubaar hai
na jamaal mein hain lataafaten na lataafaton mein hai be-khudi
ye junoon-e-ishq ka bhoot hai jo bashar ke sar pe sawaar hai
mujhe be-niyaaz-e-alam na kar mujhe be-naseeb-e-sitam na kar
mere gham ki lazzat-e-jaavedaan meri zindagi ki bahaar hai
ye nahin nashaat ka zamzama ise gosh-e-hosh se sun zara
mere saaz-e-dil ki sada nahin meri be-kasi ki pukaar hai
mujhe zindagi ki dua na de mujhe aisi sakht saza na de
mujhe dekh aa ke qareeb-tar mera har nafs mujhe baar hai
hai khabar aseer rihaa hue hain farogh daur-e-bahaar mein
chalo raaj ham bhi chale chalen ki chaman mein urs-e-bahaar hai
ख़िज़ाँ का कोई वजूद है न चमन में रंग-ए-बहार है
जिसे जानता है तू कारवाँ वो तिरी नज़र का ग़ुबार है
न जमाल में हैं लताफ़तें न लताफ़तों में है बे-ख़ुदी
ये जुनून-ए-इश्क़ का भूत है जो बशर के सर पे सवार है
मुझे बे-नियाज़-ए-अलम न कर मुझे बे-नसीब-ए-सितम न कर
मिरे ग़म की लज़्ज़त-ए-जावेदाँ मिरी ज़िंदगी की बहार है
ये नहीं नशात का ज़मज़मा इसे गोश-ए-होश से सुन ज़रा
मिरे साज़-ए-दिल की सदा नहीं मिरी बे-कसी की पुकार है
मुझे ज़िंदगी की दुआ न दे मुझे ऐसी सख़्त सज़ा न दे
मुझे देख आ के क़रीब-तर मिरा हर नफ़स मुझे बार है
है ख़बर असीर रिहा हुए हैं फ़रोग़ दौर-ए-बहार में
चलो 'राज' हम भी चले चलें कि चमन में उर्स-ए-बहार है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev Raaj
our suggestion based on Baldev Raaj
As you were reading Nature Shayari Shayari