gardish mein hai zameen bhi kya aasmaan ke saath | गर्दिश में है ज़मीन भी क्या आसमाँ के साथ

  - Baldev Raaj

gardish mein hai zameen bhi kya aasmaan ke saath
duniya badal gai nigah-e-mehrbaan ke saath

dohraana anjuman mein samajh soch ke use
teri bhi dastaan hai meri dastaan ke saath

ab main hoon aur kunj-e-qafas ki museebatein
vo aashiyaan ki baat gai aashiyaan ke saath

betaabiyon se rabt tha bechainiyon se kaam
guzre hain aise din bhi us aaraam-jaan ke saath

roz-e-azl wahi to faqat mustehiq na tha
kuchh gardishein hamein bhi miliin aasmaan ke saath

gham ko tire bhula na saka do-jahaan ka gham
tera bhi gham raha hai gham-e-do-jahaan ke saath

ummeed hi nahin to guzar jaayegi yoonhi
ik meherbaan ke saath ki na-mehrabaan ke saath

ye soz-o-saaz-e-ishq gham-e-jaavedaan sahi
de umr-e-jaavedaan bhi gham-e-jaavedaan ke saath

manzil ka kya yaqeen ho bataaye koi mujhe
jab rahguzar bhi hai ravaan kaarwaan ke saath

गर्दिश में है ज़मीन भी क्या आसमाँ के साथ
दुनिया बदल गई निगह-ए-मेहरबाँ के साथ

दोहराना अंजुमन में समझ सोच के उसे
तेरी भी दास्ताँ है मिरी दास्ताँ के साथ

अब मैं हूँ और कुंज-ए-क़फ़स की मुसीबतें
वो आशियाँ की बात गई आशियाँ के साथ

बेताबियों से रब्त था बेचैनियों से काम
गुज़रे हैं ऐसे दिन भी उस आराम-जाँ के साथ

रोज़-ए-अज़ल वही तो फ़क़त मुस्तहिक़ न था
कुछ गर्दिशें हमें भी मिलीं आसमाँ के साथ

ग़म को तिरे भुला न सका दो-जहाँ का ग़म
तेरा भी ग़म रहा है ग़म-ए-दो-जहाँ के साथ

उम्मीद ही नहीं तो गुज़र जाएगी यूँही
इक मेहरबाँ के साथ कि ना-मेहरबाँ के साथ

ये सोज़-ओ-साज़-ए-इश्क़ ग़म-ए-जावेदाँ सही
दे उम्र-ए-जावेदाँ भी ग़म-ए-जावेदाँ के साथ

मंज़िल का क्या यक़ीं हो बताए कोई मुझे
जब रहगुज़ार भी है रवाँ कारवाँ के साथ

  - Baldev Raaj

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Baldev Raaj

As you were reading Shayari by Baldev Raaj

Similar Writers

our suggestion based on Baldev Raaj

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari