har ik zarre se hai tabaani-e-shams-o-qamar paida
har ik aaine se hai soorat-e-aaina-gar paida
zamaana band kar deta hai jis par ik dar-e-ishrat
to is ke vaaste karti hai fitrat laakh dar paida
gadaaon ki nazar mein khaak hai tauqeer-e-sultaani
fusoon-e-ishq kar deta hai zarroon mein nazar paida
nahin kuchh door ye bhi soorma qaumon ki fitrat se
shikastein kha ke bhi kar lete hain fath-o-zafar paida
junoon ko chaahiyein be-khauf-o-a'li-zarf deewane
har ik deewaar mein zindaan ki ho sakte hain dar paida
haqeeqat mein khizaan ta'aamir hai fasl-e-bahaari ki
ki dard-e-sar se hoti hai dawa-e-dard-e-sar paida
हर इक ज़र्रे से है ताबानी-ए-शम्स-ओ-क़मर पैदा
हर इक आईने से है सूरत-ए-आईना-गर पैदा
ज़माना बंद कर देता है जिस पर इक दर-ए-इशरत
तो इस के वास्ते करती है फ़ितरत लाख दर पैदा
गदाओं की नज़र में ख़ाक है तौक़ीर-ए-सुल्तानी
फ़ुसून-ए-इश्क़ कर देता है ज़र्रों में नज़र पैदा
नहीं कुछ दूर ये भी सूरमा क़ौमों की फ़ितरत से
शिकस्तें खा के भी कर लेते हैं फ़त्ह-ओ-ज़फ़र पैदा
जुनूँ को चाहिएँ बे-ख़ौफ़-ओ-आ'ली-ज़र्फ़ दीवाने
हर इक दीवार में ज़िंदाँ की हो सकते हैं दर पैदा
हक़ीक़त में ख़िज़ाँ ता'मीर है फ़स्ल-ए-बहारी की
कि दर्द-ए-सर से होती है दवा-ए-दर्द-ए-सर पैदा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev Raaj
our suggestion based on Baldev Raaj
As you were reading Nigaah Shayari Shayari