aaj hai eesaar ka jazba jo parvaanon ke paas
thi kabhi ye daulat-e-bedaar insaano ke paas
aql hai ik aasteen ka saanp farzaanon ke paas
be-khudi kitni badi daulat hai deewaanon ke paas
kis ki hai duniya ye aakhir saahib-e-khaana hai kaun
mezbaan dekha nahin koi bhi mehmaanon ke paas
azmat-e-deewaangi ka shor farzaanon mein hai
hai ghaneemat ye bhi rah jaaye jo deewaanon ke paas
sham'a raushan ho gai aa jaao jalne ke liye
ye khabar jaata hai le kar kaun parvaanon ke paas
gahe aabaadi ke seene tak chale aate hain dasht
gahe aabaadi pahunch jaati hai veeraanon ke paas
ashk-e-hasrat soz-e-gham dard-e-mohabbat daag-e-dil
kya nahin sab kuchh hai tere khasta samaanon ke paas
tum na gar aate to khinch jaate sanam-khaane wahin
tum ne khud tauheen ki aa kar sanam-khaanon ke paas
nakhuda kashti ke rukh ko mod langar kaat de
mujh ko saahil sa nazar aata hai toofaanon ke paas
dekhen ab begaane karte hain ishaara kis taraf
mujh ko apnon ne to pahunchaaya hai begaano'n ke paas
raaj jaane kis tarah karte hain sajde brahman
main to ban jaata hoon but ja kar sanam-khaanon ke paas
आज है ईसार का जज़्बा जो परवानों के पास
थी कभी ये दौलत-ए-बेदार इंसानों के पास
अक़्ल है इक आस्तीं का साँप फ़र्ज़ानों के पास
बे-ख़ुदी कितनी बड़ी दौलत है दीवानों के पास
किस की है दुनिया ये आख़िर साहब-ए-ख़ाना है कौन
मेज़बाँ देखा नहीं कोई भी मेहमानों के पास
अज़्मत-ए-दीवानगी का शोर फ़र्ज़ानों में है
है ग़नीमत ये भी रह जाए जो दीवानों के पास
शम्अ' रौशन हो गई आ जाओ जलने के लिए
ये ख़बर जाता है ले कर कौन परवानों के पास
गाहे आबादी के सीने तक चले आते हैं दश्त
गाहे आबादी पहुँच जाती है वीरानों के पास
अश्क-ए-हसरत सोज़-ए-ग़म दर्द-ए-मोहब्बत दाग़-ए-दिल
क्या नहीं सब कुछ है तेरे ख़स्ता सामानों के पास
तुम न गर आते तो खिंच जाते सनम-ख़ाने वहीं
तुम ने ख़ुद तौहीन की आ कर सनम-ख़ानों के पास
नाख़ुदा कश्ती के रुख़ को मोड़ लंगर काट दे
मुझ को साहिल सा नज़र आता है तूफ़ानों के पास
देखें अब बेगाने करते हैं इशारा किस तरफ़
मुझ को अपनों ने तो पहुँचाया है बेगानों के पास
'राज' जाने किस तरह करते हैं सज्दे बरहमन
मैं तो बन जाता हूँ बुत जा कर सनम-ख़ानों के पास
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev Raaj
our suggestion based on Baldev Raaj
As you were reading Kashti Shayari Shayari