khud ko khudi ka aaina dikhla raha hoon main
apna hareef aap bana ja raha hoon main
qismat ki pastiyon ki hadein khatm ho chuki
ab rifa'aton ki samt uda ja raha hoon main
naakaam-e-aarzoo hoon magar uf yaqeen-e-ishq
daanista phir fareb-e-wafa kha raha hoon
mohr-e-sukoot-e-lab pe hai bahke hue qadam
ai be-khudi phir aaj kidhar ja raha hoon main
phir dekhta hoon chehra-e-maazi ke khadd-o-khaal
saaqi sanbhaal hosh mein phir aa raha hoon main
ruk jaaye jis ke shor se dasht-o-jabal ki saans
us sail-e-ranj-o-gham mein baha ja raha hoon main
jaane ko hoon ahaata-e-aalam se door-tar
bas chand roz tum ko nazar aa raha hoon main
shams-o-qamar hain raah mein zarraat ki tarah
kis ki tajalliyon mein ghira ja raha hoon main
tha jo khayal teri jafaon se peshtar
dil ko usi khayal se bahla raha hoon main
badh badh ke raaj mere qadam le rahi hai maut
kis zindagi ki samt badha ja raha hoon main
ख़ुद को ख़ुदी का आइना दिखला रहा हूँ मैं
अपना हरीफ़ आप बना जा रहा हूँ मैं
क़िस्मत की पस्तियों की हदें ख़त्म हो चुकीं
अब रिफ़अ'तों की सम्त उड़ा जा रहा हूँ मैं
नाकाम-ए-आरज़ू हूँ मगर उफ़ यक़ीन-ए-इश्क़
दानिस्ता फिर फ़रेब-ए-वफ़ा खा रहा हूँ
मोहर-ए-सुकूत-ए-लब पे है बहके हुए क़दम
ऐ बे-ख़ुदी फिर आज किधर जा रहा हूँ मैं
फिर देखता हूँ चेहरा-ए-माज़ी के ख़द्द-ओ-ख़ाल
साक़ी सँभाल होश में फिर आ रहा हूँ मैं
रुक जाए जिस के शोर से दश्त-ओ-जबल की साँस
उस सैल-ए-रंज-ओ-ग़म में बहा जा रहा हूँ मैं
जाने को हूँ अहाता-ए-आलम से दूर-तर
बस चंद रोज़ तुम को नज़र आ रहा हूँ मैं
शम्स-ओ-क़मर हैं राह में ज़र्रात की तरह
किस की तजल्लियों में घिरा जा रहा हूँ मैं
था जो ख़याल तेरी जफ़ाओं से पेशतर
दिल को उसी ख़याल से बहला रहा हूँ मैं
बढ़ बढ़ के 'राज' मेरे क़दम ले रही है मौत
किस ज़िंदगी की सम्त बढ़ा जा रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev Raaj
our suggestion based on Baldev Raaj
As you were reading Chehra Shayari Shayari