mere armaanon ko paamaal-e-ziyaan rahne bhi de | मेरे अरमानों को पामाल-ए-ज़ियाँ रहने भी दे

  - Baldev Raaj

mere armaanon ko paamaal-e-ziyaan rahne bhi de
shauq-e-manzil ko shareek-e-kaarvaan rahne bhi de

wa'da-o-paimaan-e-ulfat ko na de lafzon ka rang
dard se labreiz naalon ko jawaan rahne bhi de

dekh mujh ko hasrat-aalooda nigaahon se na dekh
ye fusoon ye shokh andaaz-e-bayaan rahne bhi de

haail-e-ulfat agar hai zindagi ki kashmakash
zindagi ki kashmakash ko darmiyaan rahne bhi de

main jahaan hoon jis tarah hoon khoob hoon dil-shaad hoon
haasil-e-ulfat hain ye barbaadiyaan rahne bhi de

vo guzishta aish-o-ishrat vo nashaat-e-zindagi
khwaab tha is khwaab ki rangeeniyaan rahne bhi de

dost majboor-e-wafa ho kar na kha dil ka fareb
zindagi par kaamraani ka gumaan rahne bhi de

naqsh-e-gham ko kyun mitaati hai dil-e-ghamgeen se
ye meri khooni bahaarein be-khizaan rahne bhi de

मेरे अरमानों को पामाल-ए-ज़ियाँ रहने भी दे
शौक़-ए-मंज़िल को शरीक-ए-कारवाँ रहने भी दे

वा'दा-ओ-पैमान-ए-उल्फ़त को न दे लफ़्ज़ों का रंग
दर्द से लबरेज़ नालों को जवाँ रहने भी दे

देख मुझ को हसरत-आलूदा निगाहों से न देख
ये फ़ुसूँ ये शोख़ अंदाज़-ए-बयाँ रहने भी दे

हाइल-ए-उल्फ़त अगर है ज़िंदगी की कश्मकश
ज़िंदगी की कश्मकश को दरमियाँ रहने भी दे

मैं जहाँ हूँ जिस तरह हूँ ख़ूब हूँ दिल-शाद हूँ
हासिल-ए-उल्फ़त हैं ये बर्बादियाँ रहने भी दे

वो गुज़िश्ता ऐश-ओ-इशरत वो नशात-ए-ज़िंदगी
ख़्वाब था इस ख़्वाब की रंगीनियाँ रहने भी दे

दोस्त मजबूर-ए-वफ़ा हो कर न खा दिल का फ़रेब
ज़िंदगी पर कामरानी का गुमाँ रहने भी दे

नक़्श-ए-ग़म को क्यों मिटाती है दिल-ए-ग़मगीन से
ये मिरी ख़ूनीं बहारें बे-ख़िज़ाँ रहने भी दे

  - Baldev Raaj

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Baldev Raaj

As you were reading Shayari by Baldev Raaj

Similar Writers

our suggestion based on Baldev Raaj

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari