dil ke haathon kharab ho jaana
zindagi kaamyaab ho jaana
mujh se kab aise mo'jize honge
khud hi izzat-maab ho jaana
aaj gul ban le zakhm-e-tanhaai
phir kabhi aftaab ho jaana
main ne taskeen-e-karb maangi hai
ai dua mustajaab ho jaana
jab kisi imtihaan se khauf lage
tum mere ham-rikaab ho jaana
khwaab ko sach mein dhaalne ki lagan
dekhiyo khud na khwaab ho jaana
दिल के हाथों ख़राब हो जाना
ज़िंदगी कामयाब हो जाना
मुझ से कब ऐसे मो'जिज़े होंगे
ख़ुद ही इज़्ज़त-मआब हो जाना
आज गुल बन ले ज़ख़्म-ए-तन्हाई
फिर कभी आफ़्ताब हो जाना
मैं ने तस्कीन-ए-कर्ब माँगी है
ऐ दुआ मुस्तजाब हो जाना
जब किसी इम्तिहाँ से ख़ौफ़ लगे
तुम मिरे हम-रिकाब हो जाना
ख़्वाब को सच में ढालने की लगन
देखियो ख़ुद न ख़्वाब हो जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balraj Hayat
our suggestion based on Balraj Hayat
As you were reading Dil Shayari Shayari