sadiyon ka karb lamhon ke dil mein basa diya | सदियों का कर्ब लम्हों के दिल में बसा दिया

  - Balraj Hayat

sadiyon ka karb lamhon ke dil mein basa diya
pal bhar ki zindagi ko davaami bana diya

deewaar mein vo chun hi raha tha mujhe magar
kam-bakht ek sang kahi muskuraa diya

jab aur koi madd-e-muqaabil nahin raha
meri ana ne mujh ko mujhi se lada diya

mujh se na pooch kal ke muhaqqaq se poochna
sholoon ke lams ne mujhe kyun yakh bana diya

yaadon ke shehar mein bhi na hairat sukoon mila
haalaat ne mizaaj kuchh aisa bana diya

सदियों का कर्ब लम्हों के दिल में बसा दिया
पल भर की ज़िंदगी को दवामी बना दिया

दीवार में वो चुन ही रहा था मुझे मगर
कम-बख़्त एक संग कहीं मुस्कुरा दिया

जब और कोई मद्द-ए-मुक़ाबिल नहीं रहा
मेरी अना ने मुझ को मुझी से लड़ा दिया

मुझ से न पूछ कल के मुहक़क़िक़ से पूछना
शो'लों के लम्स ने मुझे क्यूँ यख़ बना दिया

यादों के शहर में भी न 'हैरत' सुकूँ मिला
हालात ने मिज़ाज कुछ ऐसा बना दिया

  - Balraj Hayat

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balraj Hayat

As you were reading Shayari by Balraj Hayat

Similar Writers

our suggestion based on Balraj Hayat

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari