baarishon mein ghusl karte sabz ped | बारिशों में ग़ुस्ल करते सब्ज़ पेड़

  - Balraj Komal

baarishon mein ghusl karte sabz ped
dhoop mein bante sanvarte sabz ped

kis qadar tashheer-e-gham se door tha
chupke chupke aah bharte sabz ped

door tak roti hui khaamoshiyaan
raat ke manzar se darte sabz ped

dasht mein vo raah-rau ka khwaab the
ghar mein kaise paanv dharte sabz ped

doston ki saltanat mein door tak
dushmanon ke dhor charte sabz ped

kar gaye be-mehr mausam ke supurd
rafta rafta aaj marte sabz ped

बारिशों में ग़ुस्ल करते सब्ज़ पेड़
धूप में बनते सँवरते सब्ज़ पेड़

किस क़दर तश्हीर-ए-ग़म से दूर था
चुपके चुपके आह भरते सब्ज़ पेड़

दूर तक रोती हुई ख़ामोशियाँ
रात के मंज़र से डरते सब्ज़ पेड़

दश्त में वो राह-रौ का ख़्वाब थे
घर में कैसे पाँव धरते सब्ज़ पेड़

दोस्तों की सल्तनत में दूर तक
दुश्मनों के ढोर चरते सब्ज़ पेड़

कर गए बे-मेहर मौसम के सुपुर्द
रफ़्ता रफ़्ता आज मरते सब्ज़ पेड़

  - Balraj Komal

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balraj Komal

As you were reading Shayari by Balraj Komal

Similar Writers

our suggestion based on Balraj Komal

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari