dil ka mo'amla wahi mahshar wahi raha
ab ke baras bhi raat ka muntazir wahi raha
naumeed ho gaye to sabhi dost uth gaye
vo said-e-intiqaam tha dar par wahi raha
saara hujoom paa-piyada choon-ki darmiyaan
sirf ek hi sawaar tha rahbar wahi raha
sab log sach hai ba-hunar the phir bhi kaamyaab
ye kaisa ittifaq tha akshar wahi raha
ye irtiqa ka faiz tha ya mahaj haadisa
mendak to feel-pa hue azdar wahi raha
sab ko huroof-e-iltijaa ham nazr kar chuke
dushman to mom ho gaye patthar wahi raha
दिल का मोआ'मला वही महशर वही रहा
अब के बरस भी रात का मुंतज़िर वही रहा
नौमीद हो गए तो सभी दोस्त उठ गए
वो सैद-ए-इंतिक़ाम था दर पर वही रहा
सारा हुजूम पा-पियादा चूँ-कि दरमियाँ
सिर्फ़ एक ही सवार था रहबर वही रहा
सब लोग सच है बा-हुनर थे फिर भी कामयाब
ये कैसा इत्तिफ़ाक़ था अक्सर वही रहा
ये इर्तिक़ा का फ़ैज़ था या महज़ हादिसा
मेंडक तो फ़ील-पा हुए अज़दर वही रहा
सब को हुरूफ़-ए-इल्तिजा हम नज़्र कर चुके
दुश्मन तो मोम हो गए पत्थर वही रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balraj Komal
our suggestion based on Balraj Komal
As you were reading Dosti Shayari Shayari