kis muhoorat mein din nikalta hai
shaam tak sirf haath malta hai
waqt ki dillagi ke baare mein
sochta hoon to dil dahalta hai
doston ne jise duboya ho
vo zara der se sambhalta hai
hamne baunon ki jeb mein dekhi
naam jis cheez ka sapalta hai
tan badalti thi aatma pehle
aajkal tan use badalta hai
ek dhaage ki baat rakhne ko
mom ka rom-rom jalta hai
kaam chahe zehan se chalta ho
naam deewaangi se chalta hai
us shehar mein aag ki hai kami
raat-din jo dhuaan ugalta hai
uska kuchh to ilaaj karvaao
uske vyavhaar mein sarlata hai
sirf do chaar sukh uthaane ko
aadmi baarhaan fisalta hai
yaad aate hain sher raahi ke
dard jab shayari mein dhalt hai
किस मुहूरत में दिन निकलता है
शाम तक सिर्फ़ हाथ मलता है
वक़्त की दिल्लगी के बारे में
सोचता हूं तो दिल दहलता है
दोस्तों ने जिसे डुबोया हो
वो ज़रा देर से संभलता है
हमने बौनों की जेब में देखी
नाम जिस चीज़ का सपलता है
तन बदलती थी आत्मा पहले
आजकल तन उसे बदलता है
एक धागे की बात रखने को
मोम का रोम-रोम जलता है
काम चाहे ज़ेहन से चलता हो
नाम दीवानगी से चलता है
उस शहर में आग की है कमी
रात-दिन जो धुआं उगलता है
उसका कुछ तो इलाज करवाओ
उसके व्यवहार में सरलता है
सिर्फ़ दो चार सुख उठाने को
आदमी बारहां फिसलता है
याद आते हैं शेर 'राही' के
दर्द जब शायरी में ढलता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balswaroop Rahi
our suggestion based on Balswaroop Rahi
As you were reading Aah Shayari Shayari