aql ye kahti hai sayanon se banaaye rakhna | अक़्ल ये कहती है, सयानों से बनाए रखना

  - Balswaroop Rahi

aql ye kahti hai sayanon se banaaye rakhna
dil ye kehta hai deewaanon se banaaye rakhna

log tikne nahin dete hain kabhi choti par
jaan-pahchaan dhalanon se banaaye rakhna

jaane kis mod pe mit jaayen nishaan manzil ke
raah ke thaur-thikaanon se banaaye rakhna

haadse hausale todengi sahi hai phir bhi
chand jeene ke bahaanon se banaaye rakhna

shayari khwaab dikhaayegi kai baar magar
dosti gham ke fasaanon se banaaye rakhna

aashiyaan dil mein rahe aasmaan aankhon mein
yun bhi mumkin hai uraano se banaaye rakhna

din ko din raat ko jo raat nahin kahte hain
faasle unke bayaanon se banaaye rakhna

ek bazaar hai duniya jo agar raahi jee
tum bhi do-chaar dukano se banaaye rakhna

अक़्ल ये कहती है, सयानों से बनाए रखना
दिल ये कहता है, दीवानों से बनाए रखना

लोग टिकने नहीं देते हैं कभी चोटी पर
जान-पहचान ढलानों से बनाए रखना

जाने किस मोड़ पे मिट जाएँ निशाँ मंज़िल के
राह के ठौर-ठिकानों से बनाए रखना

हादसे हौसले तोड़ेंगे सही है फिर भी
चंद जीने के बहानों से बनाए रखना

शायरी ख़्वाब दिखाएगी कई बार मगर
दोस्ती ग़म के फ़सानों से बनाए रखना

आशियाँ दिल में रहे आसमान आँखों में
यूँ भी मुमकिन है उड़ानों से बनाए रखना

दिन को दिन, रात को जो रात नहीं कहते हैं
फ़ासले उनके बयानों से बनाए रखना

एक बाज़ार है दुनिया जो अगर 'राही जी'
तुम भी दो-चार दुकानों से बनाए रखना

  - Balswaroop Rahi

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balswaroop Rahi

As you were reading Shayari by Balswaroop Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Balswaroop Rahi

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari