gar mujhe meri zaat mil jaaye
ik nayi kaayenaat mil jaaye
khwaab hai us se baat karne ka
koi khwaabon ki raat mil jaaye
gham-zada log sochte honge
zindagi se najaat mil jaaye
koi kuchh bhi badal nahin saka
jis ko jaisi hayaat mil jaaye
poochna chaand ka pata aazar
jab akela mein raat mil jaaye
गर मुझे मेरी ज़ात मिल जाए
इक नई काएनात मिल जाए
ख़्वाब है उस से बात करने का
कोई ख़्वाबों की रात मिल जाए
ग़म-ज़दा लोग सोचते होंगे
ज़िंदगी से नजात मिल जाए
कोई कुछ भी बदल नहीं सकता
जिस को जैसी हयात मिल जाए
पूछना चाँद का पता 'आज़र'
जब अकेले में रात मिल जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar
our suggestion based on Balwan Singh Azar
As you were reading Alone Shayari Shayari