saaqi khulta hai paimaana khulta hai | साक़ी खुलता है पैमाना खुलता है

  - Balwan Singh Azar

saaqi khulta hai paimaana khulta hai
sacche rindon par may-khaana khulta hai

un galiyon mein log bhatkte dekhe hain
jin galiyon mein daanish-khaana khulta hai

mujh ko padhne aa jaate hain laakhon log
jab bhi ghazalon ka tah-khaana khulta hai

tum par shaayad chaar bahaarein khulti hon
mujh se to har pal veeraana khulta hai

sab ki aankhon mein aansu aa jaate hain
aazar jab koi deewaana khulta hai

साक़ी खुलता है पैमाना खुलता है
सच्चे रिंदों पर मय-ख़ाना खुलता है

उन गलियों में लोग भटकते देखे हैं
जिन गलियों में दानिश-ख़ाना खुलता है

मुझ को पढ़ने आ जाते हैं लाखों लोग
जब भी ग़ज़लों का तह-ख़ाना खुलता है

तुम पर शायद चार बहारें खुलती हों
मुझ से तो हर पल वीराना खुलता है

सब की आँखों में आँसू आ जाते हैं
'आज़र' जब कोई दीवाना खुलता है

  - Balwan Singh Azar

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balwan Singh Azar

As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar

Similar Writers

our suggestion based on Balwan Singh Azar

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari