kyun chhupaate ho kidhar jaana hai
dasht se kah do ki ghar jaana hai
mujh mein bhi pehle uthenge toofaan
phir khamoshi ko pasar jaana hai
koi kehta hai ki main malba hoon
kisi ne mujh ko khandar jaana hai
khaak to khaak pe aa baithegi
khaak ko ud ke kidhar jaana hai
us ki nadaani to dekho aazar
phir se deewaar ko dar jaana hai
क्यूँ छुपाते हो किधर जाना है
दश्त से कह दो कि घर जाना है
मुझ में भी पहले उठेंगे तूफ़ाँ
फिर ख़मोशी को पसर जाना है
कोई कहता है कि मैं मलबा हूँ
किसी ने मुझ को खंडर जाना है
ख़ाक तो ख़ाक पे आ बैठेगी
ख़ाक को उड़ के किधर जाना है
उस की नादानी तो देखो 'आज़र'
फिर से दीवार को दर जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar
our suggestion based on Balwan Singh Azar
As you were reading Ghar Shayari Shayari