paanv mera phir pada hai dasht mein
vo hi aawaara hawa hai dasht mein
ab meri tanhaai kam ho jaayegi
ik bagoola mil gaya hai dasht mein
bastiyon se bhi ziyaada shor hai
kaun itna cheekhta hai dasht mein
kis tarah khud ko bachaayega koi
ek na-deeda bala hai dasht mein
khaak aur kuchh zard patton ke siva
tujh ko aazar kya mila hai dasht mein
पाँव मेरा फिर पड़ा है दश्त में
वो ही आवारा हवा है दश्त में
अब मिरी तन्हाई कम हो जाएगी
इक बगूला मिल गया है दश्त में
बस्तियों से भी ज़ियादा शोर है
कौन इतना चीख़ता है दश्त में
किस तरह ख़ुद को बचाएगा कोई
एक नादीदा बला है दश्त में
ख़ाक और कुछ ज़र्द पत्तों के सिवा
तुझ को 'आज़र' क्या मिला है दश्त में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar
our suggestion based on Balwan Singh Azar
As you were reading Alone Shayari Shayari