raat din ik bebaasi zinda rahi
meri aankhon mein nami zinda rahi
haar jaayegi yaqeenan teergi
gar musalsal raushni zinda rahi
pehle sannaaton mein vo maujood thi
shor mein bhi khaamoshi zinda rahi
zikr hoga is ka bhi sadiyon talak
kaise kaise ye sadi zinda rahi
dard ko aazar dua main kyun na doon
dard hi se shaayeri zinda rahi
रात दिन इक बेबसी ज़िंदा रही
मेरी आँखों में नमी ज़िंदा रही
हार जाएगी यक़ीनन तीरगी
गर मुसलसल रौशनी ज़िंदा रही
पहले सन्नाटों में वो मौजूद थी
शोर में भी ख़ामुशी ज़िंदा रही
ज़िक्र होगा इस का भी सदियों तलक
कैसे कैसे ये सदी ज़िंदा रही
दर्द को 'आज़र' दुआ मैं क्यूँ न दूँ
दर्द ही से शाएरी ज़िंदा रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar
our suggestion based on Balwan Singh Azar
As you were reading Bahana Shayari Shayari