sach hai ya phir mughalata hai mujhe
koi awaaz de raha hai mujhe
ek ummeed jaag uthati hai
aasmaan jab bhi dekhta hai mujhe
cheen leta hai mere saare guhar
jab samundar khangaalata hai mujhe
ye maraasim bahut purane hain
dasht sadiyon se jaanta hai mujhe
meri jaanib bhi aa zara furqat
apne baare mein sochna hai mujhe
सच है या फिर मुग़ालता है मुझे
कोई आवाज़ दे रहा है मुझे
एक उम्मीद जाग उठती है
आसमाँ जब भी देखता है मुझे
छीन लेता है मेरे सारे गुहर
जब समुंदर खँगालता है मुझे
ये मरासिम बहुत पुराने हैं
दश्त सदियों से जानता है मुझे
मेरी जानिब भी आ ज़रा फ़ुर्सत
अपने बारे में सोचना है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar
our suggestion based on Balwan Singh Azar
As you were reading Protest Shayari Shayari