mere safar mein hi kyun ye azaab aate hain | मिरे सफ़र में ही क्यूँ ये अज़ाब आते हैं

  - Balwan Singh Azar

mere safar mein hi kyun ye azaab aate hain
jidhar bhi jaaun udhar hi saraab aate hain

talash hai mujhe ab to unhin fazaaon ki
jahaan khizaan mein bhi akshar gulaab aate hain

kisi ko milta nahin ik charaagh meelon tak
kisi ki basti mein sau aftaab aate hain

na nikla kijie raaton ko ghar se aap kabhi
sadak pe raat mein khaana-kharaab aate hain

khula makaan hai har ek zindagi aazar
hawa ke saath dareechon se khwaab aate hain

मिरे सफ़र में ही क्यूँ ये अज़ाब आते हैं
जिधर भी जाऊँ उधर ही सराब आते हैं

तलाश है मुझे अब तो उन्हीं फ़ज़ाओं की
जहाँ ख़िज़ाँ में भी अक्सर गुलाब आते हैं

किसी को मिलता नहीं इक चराग़ मीलों तक
किसी की बस्ती में सौ आफ़्ताब आते हैं

न निकला कीजिए रातों को घर से आप कभी
सड़क पे रात में ख़ाना-ख़राब आते हैं

खुला मकान है हर एक ज़िंदगी 'आज़र'
हवा के साथ दरीचों से ख़्वाब आते हैं

  - Balwan Singh Azar

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balwan Singh Azar

As you were reading Shayari by Balwan Singh Azar

Similar Writers

our suggestion based on Balwan Singh Azar

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari