ek muddat se use dekha nahin | एक मुद्दत से उसे देखा नहीं

  - Chandni Pandey

ek muddat se use dekha nahin
ab magar kaajal mera bahta nahin

ik marz mein mubtala hai dil mera
kya marz hai ye pata chalta nahin

dosti jab se hui ta'beer se
khwaab peecha hi mera karta nahin

jee nahin saka hai vo mere bina
is qadar vishwas bhi achha nahin

door se awaaz deta hai koi
aur mere saamne rasta nahin

saare mausam ek jaise ho gaye
ab ye dil hansta nahin rota nahin

diary par aankh se tapka hai kuchh
main ne koi she'r to likkha nahin

एक मुद्दत से उसे देखा नहीं
अब मगर काजल मिरा बहता नहीं

इक मरज़ में मुब्तला है दिल मिरा
क्या मरज़ है ये पता चलता नहीं

दोस्ती जब से हुई ता'बीर से
ख़्वाब पीछा ही मिरा करता नहीं

जी नहीं सकता है वो मेरे बिना
इस क़दर विश्वास भी अच्छा नहीं

दूर से आवाज़ देता है कोई
और मेरे सामने रस्ता नहीं

सारे मौसम एक जैसे हो गए
अब ये दिल हँसता नहीं रोता नहीं

डायरी पर आँख से टपका है कुछ
मैं ने कोई शे'र तो लिक्खा नहीं

  - Chandni Pandey

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandni Pandey

As you were reading Shayari by Chandni Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Chandni Pandey

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari