ye mohabbat jo mohabbat se kamaai hui hai
aag seene mein usi ne to lagaaee hui hai
ik wahi phool mayassar na hua daaman ko
jis ki khushboo meri rag rag mein samaai hui hai
jab bhi aankhon ne sajaaye hai tumhaare sapne
zehan aur dil mein bahut der ladai hui hai
dil ki chaukhat pe jala rakhe hai aankhon ne charaagh
kis ki aamad ki abhi aas lagaaee hui hai
us ki yaado se munavvar hai mere dil ka jahaan
aansuon se meri aankhon ki safaai hui hai
ai mohabbat tere chehre pe udaasi kyun hai
jaise ek tu hi zamaane ki sataai hui hai
jis ki kirnon se jhuls jaate hain raushan chehre
chaandni bhi usi suraj ki banaai hui hai
ये मोहब्बत जो मोहब्बत से कमाई हुई है
आग सीने में उसी ने तो लगाई हुई है
इक वही फूल मयस्सर न हुआ दामन को
जिस की ख़ुशबू मेरी रग रग में समाई हुई है
जब भी आँखों ने सजाए है तुम्हारे सपने
ज़ेहन और दिल में बहुत देर लड़ाई हुई है
दिल की चौखट पे जला रक्खे है आँखों ने चराग़
किस की आमद की अभी आस लगाई हुई है
उस की यादो से मुनव्वर है मिरे दिल का जहाँ
आंसुओं से मेरी आँखों की सफ़ाई हुई है
ऐ मोहब्बत तेरे चेहरे पे उदासी क्यूँ है
जैसे एक तू ही ज़माने की सताई हुई है
जिस की किरनों से झुलस जाते हैं रौशन चेहरे
चाँदनी भी उसी सूरज की बनाई हुई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandni Pandey
our suggestion based on Chandni Pandey
As you were reading Dil Shayari Shayari