nayi poshaak pahne hai purane khwaab ki hasrat
main hans kar taal deti hoon dil-e-betaab ki hasrat
mohabbat aur kya hai ik saraab-e-tishnagi to hai
wahi sehra ki cham-cham mein chamakte aab ki hasrat
naya kirdaar gadh kar main kahaani hi badal deti
magar poori na ho paai naye ik baab ki hasrat
tumhaari yaad ka gahra ta'alluq aansuon se hai
meri palkon ko kya hogi kisi sailaab ki hasrat
bas itna soch kar is or kashti mod di main ne
nikal jaaye na kyun kar is dafa girdaab ki hasrat
zameen pe thak ke gir jaaun to shaayad neend aa jaaye
ki in aankhon ko hai ik umr se ik khwaab ki hasrat
नई पोशाक पहने है पुराने ख़्वाब की हसरत
मैं हँस कर टाल देती हूँ दिल-ए-बेताब की हसरत
मोहब्बत और क्या है इक सराब-ए-तिश्नगी तो है
वही सहरा की चम-चम में चमकते आब की हसरत
नया किरदार गढ़ कर मैं कहानी ही बदल देती
मगर पूरी न हो पाई नए इक बाब की हसरत
तुम्हारी याद का गहरा तअ'ल्लुक़ आँसुओं से है
मिरी पलकों को क्या होगी किसी सैलाब की हसरत
बस इतना सोच कर इस ओर कश्ती मोड़ दी मैं ने
निकल जाए न क्यों कर इस दफ़ा गिर्दाब की हसरत
ज़मीं पे थक के गिर जाऊँ तो शायद नींद आ जाए
कि इन आँखों को है इक उम्र से इक ख़्वाब की हसरत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandni Pandey
our suggestion based on Chandni Pandey
As you were reading Justaju Shayari Shayari