kho gaya hai jo us ko khone do | खो गया है जो उस को खोने दो

  - Chandni Pandey

kho gaya hai jo us ko khone do
phir naya khwaab mujh ko bone do

bastiyon ko ujaadne waalo
ab madari ka khel hone do

khwahishon khwaab dekhna chhodo
neend aayi hai mujh ko sone do

roshnai na khatm ho jaaye
kaaghazon ko siyaah hone do

har ghadi ye khayal aata hai
zindagi ke hain sirf kone do

jhooth buniyaad hi nahin rakhta
roo-b-roo sach se sab ko hone do

aansuon se dhuli zameenon par
ab zara dhoop ko bhi rone do

chaand kyun jaagta hai saath mere
raat ke baj rahe hain paune do

खो गया है जो उस को खोने दो
फिर नया ख़्वाब मुझ को बोने दो

बस्तियों को उजाड़ने वालो
अब मदारी का खेल होने दो

ख़्वाहिशों ख़्वाब देखना छोड़ो
नींद आई है मुझ को सोने दो

रौशनाई न ख़त्म हो जाए
काग़ज़ों को सियाह होने दो

हर घड़ी ये ख़याल आता है
ज़िंदगी के हैं सिर्फ़ कोने दो

झूट बुनियाद ही नहीं रखता
रू-ब-रू सच से सब को होने दो

आँसुओं से धुली ज़मीनों पर
अब ज़रा धूप को भी रोने दो

चाँद क्यों जागता है साथ मिरे
रात के बज रहे हैं पौने दो

  - Chandni Pandey

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandni Pandey

As you were reading Shayari by Chandni Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Chandni Pandey

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari