jale charaagh bujhaane ki zid nahin karte | जले चराग़ बुझाने की ज़िद नहीं करते

  - Chandni Pandey

jale charaagh bujhaane ki zid nahin karte
ab aa gaye ho to jaane ki zid nahin karte

kisi ki aankh mein aansu hamein pasand nahin
dilon ke zakham dikhaane ki zid nahin karte

tumhaare naam ka bhi zikr ho na jaaye kahi
ghazal ke sher sunaane ki zid nahin karte

hamaare saaye bhi raaste mein chhod jaate hai
hamaara saath nibhaane ki zid nahin karte

khala mein koi imarat kabhi nahin tikti
wahan makaan banaane ki zid nahin karte

ye shehr-e-sang hai patthar ke log rahte hain
yahan pe phool khilaane ki zid nahin karte

zameen jaisa kahi chaand bhi na ho jaaye
zameen pe chaand ko laane ki zid nahin karte

जले चराग़ बुझाने की ज़िद नहीं करते
अब आ गए हो तो जाने की ज़िद नहीं करते

किसी की आँख में आँसू हमें पसंद नहीं
दिलों के ज़ख़्म दिखाने की ज़िद नहीं करते

तुम्हारे नाम का भी ज़िक्र हो न जाए कहीं
ग़ज़ल के शेर सुनाने की ज़िद नहीं करते

हमारे साए भी रस्ते में छोड़ जाते है
हमारा साथ निभाने की ज़िद नहीं करते

ख़ला में कोई इमारत कभी नहीं टिकती
वहाँ मकान बनाने की ज़िद नहीं करते

ये शहर-ए-संग है पत्थर के लोग रहते हैं
यहाँ पे फ़ूल खिलाने की ज़िद नहीं करते

ज़मीन जैसा कहीं चाँद भी न हो जाए
ज़मीं पे चाँद को लाने की ज़िद नहीं करते

  - Chandni Pandey

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandni Pandey

As you were reading Shayari by Chandni Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Chandni Pandey

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari