mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili | मुझे तलाश थी जिस की वही कभी न मिली

  - Chandni Pandey

mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili
har ek cheez mili ek zindagi na mili

tiri talash mein pairo'n mein pad gaye chaale
magar ai manzil-e-maqsood tu kabhi na mili

khushi se dosti meri bhi thi magar ik din
khafa hui vo kuchh aisi ki phir kabhi na mili

vo jis charaagh ke dam se makaan raushan tha
usi charaagh ko khud apni raushni na mili

tumhaare hijr mein aisa bhi waqt aaya hai
badan tatol ke dekha to nabz hi na mili

ye jism hai ki faqat shor gul hai saanson ka
ye aankh hai ki koi khwaab dekhti na mili

dil-o-dimaagh pe haavi raha gham-e-dauraan
khushi ke saath bhi rah kar mujhe khushi na mili

mujhe na mil saka suraj mere muqaddar ka
tira naseeb tujhe meri chaandni na mili

मुझे तलाश थी जिस की वही कभी न मिली
हर एक चीज़ मिली एक ज़िंदगी न मिली

तिरी तलाश में पैरों में पड़ गए छाले
मगर ऐ मंज़िल-ए-मक़्सूद तू कभी न मिली

ख़ुशी से दोस्ती मेरी भी थी मगर इक दिन
ख़फ़ा हुई वो कुछ ऐसी कि फिर कभी न मिली

वो जिस चराग़ के दम से मकान रौशन था
उसी चराग़ को ख़ुद अपनी रौशनी न मिली

तुम्हारे हिज्र में ऐसा भी वक़्त आया है
बदन टटोल के देखा तो नब्ज़ ही न मिली

ये जिस्म है कि फ़क़त शोर गुल है साँसों का
ये आँख है कि कोई ख़्वाब देखती न मिली

दिल-ओ-दिमाग़ पे हावी रहा ग़म-ए-दौराँ
ख़ुशी के साथ भी रह कर मुझे ख़ुशी न मिली

मुझे न मिल सका सूरज मिरे मुकद्दर का
तिरा नसीब तुझे मेरी 'चाँदनी' न मिली

  - Chandni Pandey

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandni Pandey

As you were reading Shayari by Chandni Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Chandni Pandey

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari