zindagaani ranj aur gham ke siva kuchh bhi nahin | ज़िंदगानी रंज और ग़म के सिवा कुछ भी नहीं

  - Chandrabhan Khayal

zindagaani ranj aur gham ke siva kuchh bhi nahin
uf ki har-dam sog-o-maatam ke siva kuchh bhi nahin

roz-o-shab apne guzar jaana dayaar-e-ghair mein
daastaan-e-azm-e-mohkam ke siva kuchh bhi nahin

kaun dahshat-gard hai aur kaun hai dahshat-zada
ye sab ik ibhaam-e-paiham ke siva kuchh bhi nahin

goonjti hai khaamoshi har-dam jo mere chaar-soo
dar-haqeeqat shor-e-aalam ke siva kuchh bhi nahin

tum jise samjhe ho duniya us ke aanchal ke tale
gesuon ke pech aur kham ke siva kuchh bhi nahin

dekhta rehta hai bandon par musalsal sakhtiyan
kya khuda ik ism-e-aazam ke siva kuchh bhi nahin

devta si fikr aur tarz-e-amal ke baawajood
aadmi bas ibn-e-aadam ke siva kuchh bhi nahin

ज़िंदगानी रंज और ग़म के सिवा कुछ भी नहीं
उफ़ कि हर-दम सोग-ओ-मातम के सिवा कुछ भी नहीं

रोज़-ओ-शब अपने गुज़र जाना दयार-ए-ग़ैर में
दास्तान-ए-अज़्म-ए-मोहकम के सिवा कुछ भी नहीं

कौन दहशत-गर्द है और कौन है दहशत-ज़दा
ये सब इक इबहाम-ए-पैहम के सिवा कुछ भी नहीं

गूँजती है ख़ामुशी हर-दम जो मेरे चार-सू
दर-हक़ीक़त शोर-ए-आलम के सिवा कुछ भी नहीं

तुम जिसे समझे हो दुनिया उस के आँचल के तले
गेसुओं के पेच और ख़म के सिवा कुछ भी नहीं

देखता रहता है बंदों पर मुसलसल सख़्तियाँ
क्या ख़ुदा इक इस्म-ए-आज़म के सिवा कुछ भी नहीं

देवता सी फ़िक्र और तर्ज़-ए-अमल के बावजूद
आदमी बस इब्न-ए-आदम के सिवा कुछ भी नहीं

  - Chandrabhan Khayal

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandrabhan Khayal

As you were reading Shayari by Chandrabhan Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Chandrabhan Khayal

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari