us chashm-e-ashk-e-baar ki zid raayegaan to ho
meri fasīl-e-sabr ka koi nishaan to ho
ye kya ki ek samt hi jaati hai zindagi
kuchh kaarobaar-e-shorish-e-sood-o-ziyaan to ho
jannat si koi cheez ho gham ka muawza
be-shak sukoon yahan na ho lekin wahan to ho
jabran na kuchh milega to israar kijie
be-dast-o-pa hoon chhodije munh mein zabaan to ho
le jaaie badan ko bhi aakhir kahaan pe aap
koi zameen to ho kahi ik aasmaan to ho
aaye yaqeen kyun hamein jalta tha ik badan
be-shak na aag ho kahi lekin dhuaan to ho
उस चश्म-ए-अश्क-ए-बार की ज़िद राएगाँ तो हो
मेरी फ़सील-ए-सब्र का कोई निशाँ तो हो
ये क्या कि एक सम्त ही जाती है ज़िंदगी
कुछ कारोबार-ए-शोरिश-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ तो हो
जन्नत सी कोई चीज़ हो ग़म का मुआवज़ा
बे-शक सुकूँ यहाँ न हो लेकिन वहाँ तो हो
जबरन न कुछ मिलेगा तो इसरार कीजिए
बे-दस्त-ओ-पा हूँ छोड़िए मुँह में ज़बाँ तो हो
ले जाइए बदन को भी आख़िर कहाँ पे आप
कोई ज़मीं तो हो कहीं इक आसमाँ तो हो
आए यक़ीन क्यों हमें जलता था इक बदन
बे-शक न आग हो कहीं लेकिन धुआँ तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Barelvi
our suggestion based on Charagh Barelvi
As you were reading Pollution Shayari Shayari