rah gaya raah mein jab kuchh bhi na kaanton ke siva | रह गया राह में जब कुछ भी न काँटों के सिवा

  - Darshan Singh

rah gaya raah mein jab kuchh bhi na kaanton ke siva
teergi jhooth ki jab chha gai sacchaai par
ufuk-e-zinda-o-painda-e-nankaana se
hans padi ek kiran waqt ki tanhaai par

dil ke sunsaan khandar mein koi naghma jaaga
aankh malti hui ik subh biyaabaan se uthi
fikr azaad hui zehan ke jaale toote
aur iqaan ki lau seena-e-insaan se uthi

zahar mein doob gai theen jo zabaanen yaksar
un pe sheerini-e-wahdat ke taraane aaye
jism marta hai magar rooh kahaan marti hai
rooh ik noor hai aur jism thirakte saaye

jism kaanton se guzarta hai guzar jaane do
rooh vo phool hai jis par na khizaan aayegi
rooh pee legi jo irfaan-o-mohabbat ki sharaab
masti-o-kaif hamesha ke liye paayegi

peer-e-nangaana tiri rooh-e-sadaqat ko salaam
jaavedaan parcham-e-ulfat tira lehraata hai

रह गया राह में जब कुछ भी न काँटों के सिवा
तीरगी झूट की जब छा गई सच्चाई पर
उफ़ुक़-ए-ज़िंदा-ओ-पाइंदा-ए-ननकाना से
हँस पड़ी एक किरन वक़्त की तन्हाई पर

दिल के सुनसान खंडर में कोई नग़्मा जागा
आँख मलती हुई इक सुब्ह बयाबाँ से उठी
फ़िक्र आज़ाद हुई ज़ेहन के जाले टूटे
और ईक़ान की लौ सीना-ए-इंसाँ से उठी

ज़हर में डूब गई थीं जो ज़बानें यकसर
उन पे शीरीनी-ए-वहदत के तराने आए
जिस्म मरता है मगर रूह कहाँ मरती है
रूह इक नूर है और जिस्म थिरकते साए

जिस्म काँटों से गुज़रता है गुज़र जाने दो
रूह वो फूल है जिस पर न ख़िज़ाँ आएगी
रूह पी लेगी जो इर्फ़ान-ओ-मुहब्बत की शराब
मस्ती-ओ-कैफ़ हमेशा के लिए पाएगी

पीर-ए-नंगाना तिरी रूह-ए-सदाक़त को सलाम
जावेदाँ परचम-ए-उल्फ़त तिरा लहराता है

  - Darshan Singh

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari