zindagi kitni hai ajeeb-o-ghareeb | ज़िंदगी कितनी है अजीब-ओ-ग़रीब

  - Daud Ghazi

zindagi kitni hai ajeeb-o-ghareeb
zindagi kya hai ik tamasha hai
zindagi rahguzar-e-be-manzil
be-talab be-husool jeena hai
hain faqat chand log hi mukhtar
aur baaki jo hain vo bande hain
kya phire hain gale mein latkaaye
ranj-o-mazloomiyat ke fande hain
phir bhi jeete hain kya khabar kya ho
kuchh davaami nahin nizaam-e-kohn
garche hai ye maqaam-e-dard-o-mehn
kya khabar manzil-e-digar kya ho

aaj har chand hain bah-haal-e-zaboon
kaun jaane ki kal magar kya ho

ज़िंदगी कितनी है अजीब-ओ-ग़रीब
ज़िंदगी क्या है इक तमाशा है
ज़िंदगी रहगुज़ार-ए-बे-मंज़िल
बे-तलब बे-हुसूल जीना है
हैं फ़क़त चंद लोग ही मुख़्तार
और बाक़ी जो हैं वो बंदे हैं
क्या फिरे हैं गले में लटकाए
रंज-ओ-मज़लूमियत के फंदे हैं
फिर भी जीते हैं क्या ख़बर क्या हो
कुछ दवामी नहीं निज़ाम-ए-कोहन
गरचे है ये मक़ाम-ए-दर्द-ओ-मेहन
क्या ख़बर मंज़िल-ए-दिगर क्या हो

आज हर चंद हैं बह-हाल-ए-ज़बूँ
कौन जाने कि कल मगर क्या हो

  - Daud Ghazi

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Ghazi

As you were reading Shayari by Daud Ghazi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Ghazi

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari