main ne jab se chaahat ke jugnuon ko paala hai | मैं ने जब से चाहत के जुगनुओं को पाला है - Dildar Hashmi

main ne jab se chaahat ke jugnuon ko paala hai
zindagi ki waadi mein har taraf ujaala hai

har taraf hain khushbuoen har taraf ujaala hai
aaj mere aangan mein koi aane waala hai

sar-firi hawaon se khauf kha nahin sakte
jin charaagh-zaadon ko aandhiyon ne paala hai

unche rutbe waalon ko dekhiye to paamaali
maqbaro'n mein shahon ke makdiyon ka jaalaa hai

aarti utarti hai ahl-e-zar ki phoolon se
muflisi ke chehre par aansuon ki maala hai

naaz kya kare dildaar aati jaati saanson par
zindagi jab insaan ki maut ka nivaala hai

मैं ने जब से चाहत के जुगनुओं को पाला है
ज़िंदगी की वादी में हर तरफ़ उजाला है

हर तरफ़ हैं ख़ुशबूएँ हर तरफ़ उजाला है
आज मेरे आँगन में कोई आने वाला है

सर-फिरी हवाओं से ख़ौफ़ खा नहीं सकते
जिन चराग़-ज़ादों को आँधियों ने पाला है

ऊँचे रुत्बे वालों को देखिए तो पामाली
मक़बरों में शाहों के मकड़ियों का जाला है

आरती उतरती है अहल-ए-ज़र की फूलों से
मुफ़लिसी के चेहरे पर आँसुओं की माला है

नाज़ क्या करे 'दिलदार' आती जाती साँसों पर
ज़िंदगी जब इंसाँ की मौत का निवाला है

- Dildar Hashmi
1 Like

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dildar Hashmi

As you were reading Shayari by Dildar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Dildar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari