umr guzri hai sahaare nahin badle main ne | उम्र गुज़री है सहारे नहीं बदले मैं ने - Diya Jeem

umr guzri hai sahaare nahin badle main ne
jo piyaare hain vo pyaare nahin badle main ne

wahi aakaash wahi raat ki chadar sar par
chaand ko dekh ke taare nahin badle main ne

neele peele se ye lamhaat hain jaageer meri
hijr mein apne ishaare nahin badle main ne

muddaton baad tiri yaad ke maile kapde
kuch badal bhi diye saare nahin badle main ne

main nadi thi to mere saath kinaara tu tha
saath bahti rahi dhaare nahin badle main ne

khwaab ko subh ki dahleez pe le aayi hoon
aankh khuli hai nazaare nahin badle main ne

tere khwaabon se hi raushan raha ye dil ka diya
hijr mein khwaab tumhaare nahin badle main ne

उम्र गुज़री है सहारे नहीं बदले मैं ने
जो पियारे हैं वो प्यारे नहीं बदले मैं ने

वही आकाश वही रात की चादर सर पर
चाँद को देख के तारे नहीं बदले मैं ने

नीले पीले से ये लम्हात हैं जागीर मिरी
हिज्र में अपने इशारे नहीं बदले मैं ने

मुद्दतों बाद तिरी याद के मैले कपड़े
कुछ बदल भी दिए सारे नहीं बदले मैं ने

मैं नदी थी तो मिरे साथ किनारा तू था
साथ बहती रही धारे नहीं बदले मैं ने

ख़्वाब को सुब्ह की दहलीज़ पे ले आई हूँ
आँख खोली है नज़ारे नहीं बदले मैं ने

तेरे ख़्वाबों से ही रौशन रहा ये दिल का 'दिया'
हिज्र में ख़्वाब तुम्हारे नहीं बदले मैं ने

- Diya Jeem
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Diya Jeem

As you were reading Shayari by Diya Jeem

Similar Writers

our suggestion based on Diya Jeem

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari