chehra bata raha hai raaton ko jaagte ho | चेहरा बता रहा है रातों को जागते हो - Diya Jeem

chehra bata raha hai raaton ko jaagte ho
kaisi thakan mili hai hans kar utaarte ho

kis ke qadam pade the kaise nishaan pade hain
kis ke ghamon ki mitti aangan se jhaadte ho

likkho kabhi ki mujh ko tum yaad kar rahe ho
masroofiyat ke lamhe bhi mujh pe vaarte ho

chhodaa tha tum ne jaisa thehre hue hain ab tak
aur tum gali gali mein hum ko pukaarte ho

ruksat karo na hans kar aankhon se do duaaein
jaane pe mere aise kyun munh bigaarte ho

taare hue hain madhham chanda chala gaya hai
yaa raat ho chuki hai tum din guzaarte ho

mausam hua hai barham bechain hain fazaayein
aise mein tum diya ki zulfen sanwaarte ho

चेहरा बता रहा है रातों को जागते हो
कैसी थकन मिली है हँस कर उतारते हो

किस के क़दम पड़े थे कैसे निशाँ पड़े हैं
किस के ग़मों की मिट्टी आँगन से झाड़ते हो

लिक्खो कभी कि मुझ को तुम याद कर रहे हो
मसरूफ़ियत के लम्हे भी मुझ पे वारते हो

छोड़ा था तुम ने जैसा ठहरे हुए हैं अब तक
और तुम गली गली में हम को पुकारते हो

रुख़्सत करो ना हँस कर आँखों से दो दुआएँ
जाने पे मेरे ऐसे क्यों मुँह बिगाड़ते हो

तारे हुए हैं मद्धम चंदा चला गया है
याँ रात हो चुकी है तुम दिन गुज़ारते हो

मौसम हुआ है बरहम बेचैन हैं फ़ज़ाएँ
ऐसे में तुम 'दिया' की ज़ुल्फ़ें सँवारते हो

- Diya Jeem
0 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Diya Jeem

As you were reading Shayari by Diya Jeem

Similar Writers

our suggestion based on Diya Jeem

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari