main ne toofaan se pehle ka ishaara dekha | मैं ने तूफ़ान से पहले का इशारा देखा - Dr Amir Riyaz

main ne toofaan se pehle ka ishaara dekha
un ki angadaai ka jab shokh nazaara dekha

apni qismat ko kiya main ne hawaale us ke
us ne jaate hue mud kar jo dobara dekha

main ne har phool mein paai hai tumhaari khushboo
ya'ni har chehre mein bas chehra tumhaara dekha

hum to bas aaj talak tere hi shaidai hain
tum ne sab dekha magar dil na hamaara dekha

laut aate the usi gham ki taraf hum phir se
jab bhi chaahat ka tiri hum ne kinaara dekha

mere chehre ki ibadat pe na jaana aamir
main ne faaqon pe bhi hai kar ke guzaara dekha

मैं ने तूफ़ान से पहले का इशारा देखा
उन की अंगड़ाई का जब शोख़ नज़ारा देखा

अपनी क़िस्मत को किया मैं ने हवाले उस के
उस ने जाते हुए मुड़ कर जो दोबारा देखा

मैं ने हर फूल में पाई है तुम्हारी ख़ुश्बू
या'नी हर चेहरे में बस चेहरा तुम्हारा देखा

हम तो बस आज तलक तेरे ही शैदाई हैं
तुम ने सब देखा मगर दिल न हमारा देखा

लौट आते थे उसी ग़म की तरफ़ हम फिर से
जब भी चाहत का तिरी हम ने किनारा देखा

मेरे चेहरे की इबादत पे न जाना 'आमिर'
मैं ने फ़ाक़ों पे भी है कर के गुज़ारा देखा

- Dr Amir Riyaz
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr Amir Riyaz

As you were reading Shayari by Dr Amir Riyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dr Amir Riyaz

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari