deewaron se kaan laga kar baithe ho | दीवारों से कान लगा कर बैठे हो - Dr. Rakesh Joshi

deewaron se kaan laga kar baithe ho
pahre par darbaan laga kar baithe ho

is se ziyaada kya bechoge duniya ko
saara to samaan laga kar baithe ho

dukh mein doobi aawaazen na sun paaye
aisa bhi kya dhyaan laga kar baithe ho

bech raha hoon main to apne kuch sapne
tum to samvidhaan laga kar baithe ho

hum ne to gin dale hain toote wa'de
tum keval anumaan laga kar baithe ho

apne ghar ke darwaaze ki takhti par
apni jhooti shaan laga kar baithe ho

khoob andhere mein doobe in logon se
suraj ka armaan laga kar baithe ho

joojh rahi hai kathin sawaalon se duniya
tum ab bhi aasaan laga kar baithe ho

kitne achhe ho tum apne baahar se
achha sa insaan laga kar baithe ho

दीवारों से कान लगा कर बैठे हो
पहरे पर दरबान लगा कर बैठे हो

इस से ज़ियादा क्या बेचोगे दुनिया को
सारा तो सामान लगा कर बैठे हो

दुख में डूबी आवाज़ें न सुन पाए
ऐसा भी क्या ध्यान लगा कर बैठे हो

बेच रहा हूँ मैं तो अपने कुछ सपने
तुम तो संविधान लगा कर बैठे हो

हम ने तो गिन डाले हैं टूटे वा'दे
तुम केवल अनुमान लगा कर बैठे हो

अपने घर के दरवाज़े की तख़्ती पर
अपनी झूटी शान लगा कर बैठे हो

ख़ूब अंधेरे में डूबे इन लोगों से
सूरज का अरमान लगा कर बैठे हो

जूझ रही है कठिन सवालों से दुनिया
तुम अब भी आसान लगा कर बैठे हो

कितने अच्छे हो तुम अपने बाहर से
अच्छा सा इंसान लगा कर बैठे हो

- Dr. Rakesh Joshi
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rakesh Joshi

As you were reading Shayari by Dr. Rakesh Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rakesh Joshi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari