teri daawat mein gar khaana nahin tha | तेरी दावत में गर खाना नहीं था - Dr. Rakesh Joshi

teri daawat mein gar khaana nahin tha
tujhe tambu bhi lagwaana nahin tha

mera kurta puraana ho gaya hai
mujhe mehfil mein yun aana nahin tha

imarat mein laga leta ise main
mujhe patthar se takraana nahin tha

ye mera tha safar main ne chuna tha
mujhe kaanton se ghabraana nahin tha

samajh leta main khud hi baat us ki
mujhe us ko to samjhaana nahin tha

tujhe raja bana dete kabhi ka
magar afsos tu kaana nahin tha

chhupaate hum kahaan par aansuon ko
wahan koi bhi tah-khaana nahin tha

mohabbat to ibadat thi kisi din
faqat jee ka hi bahaana nahin tha

jahaan par yuddh mein shaamil the saare
wahan tum ko bhi ghabraana nahin tha

तेरी दावत में गर खाना नहीं था
तुझे तम्बू भी लगवाना नहीं था

मिरा कुर्ता पुराना हो गया है
मुझे महफ़िल में यूँ आना नहीं था

इमारत में लगा लेता इसे मैं
मुझे पत्थर से टकराना नहीं था

ये मेरा था सफ़र मैं ने चुना था
मुझे काँटों से घबराना नहीं था

समझ लेता मैं ख़ुद ही बात उस की
मुझे उस को तो समझाना नहीं था

तुझे राजा बना देते कभी का
मगर अफ़्सोस तू काना नहीं था

छुपाते हम कहाँ पर आँसुओं को
वहाँ कोई भी तह-ख़ाना नहीं था

मोहब्बत तो इबादत थी किसी दिन
फ़क़त जी का ही बहलाना नहीं था

जहाँ पर युद्ध में शामिल थे सारे
वहाँ तुम को भी घबराना नहीं था

- Dr. Rakesh Joshi
0 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rakesh Joshi

As you were reading Shayari by Dr. Rakesh Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rakesh Joshi

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari