ham na urdu mein na hindi mein ghazal kahte hain | हम न उर्दू में न हिन्दी में ग़ज़ल कहते हैं

  - Dr. Urmilesh

ham na urdu mein na hindi mein ghazal kahte hain
ham to bas aap ki boli mein ghazal kahte hain

vo ameeri mein ghazal kahte hain kahte honge
sacche sha'ir to faqiri mein ghazal kahte hain

aise sha'ir bhi ghareebi ne kiye hain paida
leaders ki jo ghulaami mein ghazal kahte hain

kis ko furqat hai jo ab she'r kahe aur sune
wahi achhe hain jo jaldi mein ghazal kahte hain

ab na masti hai na masti ka sabab bhi koi
phir bhi hairat hai vo masti mein ghazal kahte hain

aankhen matla hain adhar jin ke hain husn-e-matla
us jawaani ko jawaani mein ghazal kahte hain

vo ghazal kahte hain maqool hawa milne par
ek ham hain ki jo aandhi mein ghazal kahte hain

हम न उर्दू में न हिन्दी में ग़ज़ल कहते हैं
हम तो बस आप की बोली में ग़ज़ल कहते हैं

वो अमीरी में ग़ज़ल कहते हैं कहते होंगे
सच्चे शाइ'र तो फ़क़ीरी में ग़ज़ल कहते हैं

ऐसे शाइ'र भी ग़रीबी ने किए हैं पैदा
लीडरों की जो ग़ुलामी में ग़ज़ल कहते हैं

किस को फ़ुर्सत है जो अब शे'र कहे और सुने
वही अच्छे हैं जो जल्दी में ग़ज़ल कहते हैं

अब न मस्ती है न मस्ती का सबब भी कोई
फिर भी हैरत है वो मस्ती में ग़ज़ल कहते हैं

आँखें मतला हैं अधर जिन के हैं हुस्न-ए-मतला
उस जवानी को जवानी में ग़ज़ल कहते हैं

वो ग़ज़ल कहते हैं माक़ूल हवा मिलने पर
एक हम हैं कि जो आँधी में ग़ज़ल कहते हैं

  - Dr. Urmilesh

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Urmilesh

As you were reading Shayari by Dr. Urmilesh

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Urmilesh

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari