aisi hi zameen bana raha tha
par aur kahi bana raha tha
us but ne jahaan banaya tha but
main barson wahin bana raha tha
main raat bana raha tha lekin
tareek nahin bana raha tha
suraj to bana raha tha rukhsaar
mahtaab jabeen bana raha tha
un aankhon ko choomta hawa mein
kuchh aur haseen bana raha tha
afsos vo ban nahin saka jo
main apne tai bana raha tha
maara gaya bad-gumaaniyaan mein
bechaara yaqeen bana raha tha
ऐसी ही ज़मीं बना रहा था
पर और कहीं बना रहा था
उस बुत ने जहाँ बनाया था बुत
मैं बरसों वहीं बना रहा था
मैं रात बना रहा था लेकिन
तारीक नहीं बना रहा था
सूरज तो बना रहा था रुख़्सार
महताब जबीं बना रहा था
उन आँखों को चूमता हवा में
कुछ और हसीं बना रहा था
अफ़सोस वो बन नहीं सका जो
मैं अपने तईं बना रहा था
मारा गया बद-गुमानियाँ में
बेचारा यक़ीं बना रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Asghar
our suggestion based on Ehsan Asghar
As you were reading haseen Shayari Shayari