chamakte suraj uchaalte the kahaan gaye vo | चमकते सूरज उछालते थे कहाँ गए वो

  - Ehsan Asghar

chamakte suraj uchaalte the kahaan gaye vo
jo shaamen subhon mein dhaalte the kahaan gaye vo

badan mein larzish ki din dhala ja raha hai phir se
jo din se gardish nikaalte the kahaan gaye vo

abhi to haathon mein hiddaten un ke haath ki hain
abhi to ham ko sanbhaalte the kahaan gaye vo

utaarte the gubaar-e-lail-o-nihaar rukh se
aur aainon ko ujaalte the kahaan gaye vo

vo shaakhche choo ke sabz karne ke fan se waqif
jo phool haathon mein paalte the kahaan gaye vo

jo ism padhte the raushni ka siyah-shabon mein
jo lau charaagon mein daalte the kahaan gaye vo

चमकते सूरज उछालते थे कहाँ गए वो
जो शामें सुब्हों में ढालते थे कहाँ गए वो

बदन में लर्ज़िश कि दिन ढला जा रहा है फिर से
जो दिन से गर्दिश निकालते थे कहाँ गए वो

अभी तो हाथों में हिद्दतें उन के हाथ की हैं
अभी तो हम को सँभालते थे कहाँ गए वो

उतारते थे गुबार-ए-लैल-ओ-निहार रुख़ से
और आइनों को उजालते थे कहाँ गए वो

वो शाख़चे छू के सब्ज़ करने के फ़न से वाक़िफ़
जो फूल हाथों में पालते थे कहाँ गए वो

जो इस्म पढ़ते थे रौशनी का सियह-शबों में
जो लौ चराग़ों में डालते थे कहाँ गए वो

  - Ehsan Asghar

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Asghar

As you were reading Shayari by Ehsan Asghar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Asghar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari