ye jo lagta hai zaroorat se bhi kam bolte hain
ham ko vo shakhs bulaata hai to ham bolte hain
kaun hasti ka guzar mere kharaabe se hua
kis tafaakhur se yahan naqsh-e-qadam bolte hain
dono jaanib vo ana thi ki ye naubat aayi
ab hamein yaar bulaate hain na ham bolte hain
ye jo har baat pe kar dete hain taqreer shuruat
ham to sunte the kabhi un ke qalam bolte hain
aisi basti ki zabaan khaak main samjhoonga jahaan
log khaamosh hain deenaar-o-diram bolte hain
ये जो लगता है ज़रूरत से भी कम बोलते हैं
हम को वो शख़्स बुलाता है तो हम बोलते हैं
कौन हस्ती का गुज़र मेरे ख़राबे से हुआ
किस तफ़ाख़ुर से यहाँ नक़्श-ए-क़दम बोलते हैं
दोनों जानिब वो अना थी कि ये नौबत आई
अब हमें यार बुलाते हैं न हम बोलते हैं
ये जो हर बात पे कर देते हैं तक़रीर शुरूअ'
हम तो सुनते थे कभी उन के क़लम बोलते हैं
ऐसी बस्ती की ज़बाँ ख़ाक मैं समझूँगा जहाँ
लोग ख़ामोश हैं दीनार-ओ-दिरम बोलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar
our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar
As you were reading Khuddari Shayari Shayari