khumaar-e-qurb mein is baat ka khayal na tha | ख़ुमार-ए-क़ुर्ब में इस बात का ख़याल न था

  - Ehsanul Haq Mazhar

khumaar-e-qurb mein is baat ka khayal na tha
hamaare zehan mein kuchh aur tha visaal na tha

tiri judaai mein mahtaab dekhte ham kya
hamaara mas'ala tu tha tira jamaal na tha

phir ek din use sab log dekhne pahunchen
palat ke aaye to lab par koi sawaal na tha

kamaal ye hai tire hijr mein salaamat hoon
tire firaq mein marna koi kamaal na tha

ghamon ke vaham mein guzri hai zindagi saari
malaal karte rahe go koi malaal na tha

jo tera haal hai is se to saaf lagta hai
hamaare baad kisi ko tira khayal na tha

ख़ुमार-ए-क़ुर्ब में इस बात का ख़याल न था
हमारे ज़ेहन में कुछ और था विसाल न था

तिरी जुदाई में महताब देखते हम क्या
हमारा मसअला तू था तिरा जमाल न था

फिर एक दिन उसे सब लोग देखने पहुँचे
पलट के आए तो लब पर कोई सवाल न था

कमाल ये है तिरे हिज्र में सलामत हूँ
तिरे फ़िराक़ में मरना कोई कमाल न था

ग़मों के वहम में गुज़री है ज़िंदगी सारी
मलाल करते रहे गो कोई मलाल न था

जो तेरा हाल है इस से तो साफ़ लगता है
हमारे बाद किसी को तिरा ख़याल न था

  - Ehsanul Haq Mazhar

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsanul Haq Mazhar

As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari