jo thakaavat pe mabni neend nahin | जो थकावट पे मब्नी नींद नहीं

  - Ehsanul Haq Mazhar

jo thakaavat pe mabni neend nahin
main samajhta hoon achhi neend nahin

aadhi basti ko jaagna hoga
jitni aankhen hain utni neend nahin

maut se kyun dara rahe ho mujhe
ye koi meri pehli neend nahin

aankhen achhi hain is sitaare par
is sitaare pe achhi neend nahin

ek din us ne kah diya mujh se
main tumhaari hoon meri neend nahin

us ke chehre ko padh ke sota hoon
mujh se achhi kisi ki neend nahin

khwaab kitne hi dekhne hain abhi
aur aankhon mein ratti neend nahin

जो थकावट पे मब्नी नींद नहीं
मैं समझता हूँ अच्छी नींद नहीं

आधी बस्ती को जागना होगा
जितनी आँखें हैं उतनी नींद नहीं

मौत से क्यूँ डरा रहे हो मुझे
ये कोई मेरी पहली नींद नहीं

आँखें अच्छी हैं इस सितारे पर
इस सितारे पे अच्छी नींद नहीं

एक दिन उस ने कह दिया मुझ से
मैं तुम्हारी हूँ मेरी नींद नहीं

उस के चेहरे को पढ़ के सोता हूँ
मुझ से अच्छी किसी की नींद नहीं

ख़्वाब कितने ही देखने हैं अभी
और आँखों में रत्ती नींद नहीं

  - Ehsanul Haq Mazhar

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsanul Haq Mazhar

As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari