vo pareshaani sar-e-dasht-e-adam hai ham ko | वो परेशानी सर-ए-दश्त-ए-अदम है हम को

  - Ehsanul Haq Mazhar

vo pareshaani sar-e-dasht-e-adam hai ham ko
baagh-e-rizwaan bhi mil jaaye to kam hai ham ko

ab bhi dil mein tire hone ka gumaan baaki hai
tootte bante iraadon ki qasam hai ham ko

is ko kahte hain miyaan zakham ka taaza hona
vo kisi aur se bichhda hai to gham hai ham ko

tujh se yun maangte hain tera bharam rah jaaye
warna har cheez mohabbat mein bahm hai ham ko

tire aane pe koi radd-e-amal kya dete
ye khushi itni ziyaada hai na kam hai ham ko

वो परेशानी सर-ए-दश्त-ए-अदम है हम को
बाग़-ए-रिज़वान भी मिल जाए तो कम है हम को

अब भी दिल में तिरे होने का गुमाँ बाक़ी है
टूटते बनते इरादों की क़सम है हम को

इस को कहते हैं मियाँ ज़ख़्म का ताज़ा होना
वो किसी और से बिछड़ा है तो ग़म है हम को

तुझ से यूँ माँगते हैं तेरा भरम रह जाए
वर्ना हर चीज़ मोहब्बत में बहम है हम को

तिरे आने पे कोई रद्द-ए-अमल क्या देते
ये ख़ुशी इतनी ज़ियादा है न कम है हम को

  - Ehsanul Haq Mazhar

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsanul Haq Mazhar

As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari