tum abas dhundhte firte ho kahaan rasta tha | तुम अबस ढूँढते फिरते हो कहाँ रस्ता था

  - Ehsanul Haq Mazhar

tum abas dhundhte firte ho kahaan rasta tha
ham ne deewaar utha di hai jahaan rasta tha

bas yahi soch ke jungle ki taraf aa nikle
saahib-e-khwaab bataata hai yahan rasta tha

ham hi taqleed-paraston se alag the warna
jis jagah bheed thi logon ki wahan rasta tha

main tire shehr-e-tasavvur se abhi lautaa hoon
ped sarsabz the khushboo thi jawaan rasta tha

karbala jaate hue raah se laut aaya hoon
buzdili dekh meri nauha-kunaan rasta tha

तुम अबस ढूँढते फिरते हो कहाँ रस्ता था
हम ने दीवार उठा दी है जहाँ रस्ता था

बस यही सोच के जंगल की तरफ़ आ निकले
साहिब-ए-ख़्वाब बताता है यहाँ रस्ता था

हम ही तक़लीद-परस्तों से अलग थे वर्ना
जिस जगह भीड़ थी लोगों की वहाँ रस्ता था

मैं तिरे शहर-ए-तसव्वुर से अभी लौटा हूँ
पेड़ सरसब्ज़ थे ख़ुशबू थी जवाँ रस्ता था

कर्बला जाते हुए राह से लौट आया हूँ
बुज़दिली देख मिरी नौहा-कुनाँ रस्ता था

  - Ehsanul Haq Mazhar

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsanul Haq Mazhar

As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar

Similar Writers

our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari