gard padne pe bhi sarshaar hua karta tha
ek raaste se mujhe pyaar hua karta tha
un dinon vo bhi samajhta tha haqeeqat mujh ko
un dinon main bhi adakaar hua karta tha
un dinon gham bhi ziyaada nahin hote the mujhe
mera kamra bhi hawa-daar hua karta tha
main ki izhaar pe sharminda nahin tha jab tak
ashk chehre pe numoodaar hua karta tha
tu mila hai to khula mujh pe ajab raaz ki tu
bas mujhe hijr mein darkaar hua karta tha
raasta ab jo mere paanv pada rehta hai
ye kabhi raah ki deewaar hua karta tha
shehar ka shehar hi zalim ka madad-gaar tha aur
shehar ka shehar azaadaar hua karta tha
jis kahaani ke tasavvur se dahal jaate hain log
us ka main markazi kirdaar hua karta tha
गर्द पड़ने पे भी सरशार हुआ करता था
एक रस्ते से मुझे प्यार हुआ करता था
उन दिनों वो भी समझता था हक़ीक़त मुझ को
उन दिनों मैं भी अदाकार हुआ करता था
उन दिनों ग़म भी ज़ियादा नहीं होते थे मुझे
मेरा कमरा भी हवा-दार हुआ करता था
मैं कि इज़हार पे शर्मिंदा नहीं था जब तक
अश्क चेहरे पे नुमूदार हुआ करता था
तू मिला है तो खुला मुझ पे अजब राज़ कि तू
बस मुझे हिज्र में दरकार हुआ करता था
रास्ता अब जो मिरे पाँव पड़ा रहता है
ये कभी राह की दीवार हुआ करता था
शहर का शहर ही ज़ालिम का मदद-गार था और
शहर का शहर अज़ादार हुआ करता था
जिस कहानी के तसव्वुर से दहल जाते हैं लोग
उस का मैं मरकज़ी किरदार हुआ करता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar
our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar
As you were reading Sorry Shayari Shayari