is liye tez bhaagta hoon main
apne peeche pada hua hoon main
ghup andhere mein raushni ki tarah
us ki aankhon se gir raha hoon main
mujh ko gham to nahin judaai ka
ye muravvat mein ro raha hoon main
yaad karna bhi us ko chhod diya
aakhiri chaal chal chuka hoon main
meri baatein mazaak mein mat le
zindagi tujh se kuchh bada hoon main
mujh se vo sulh karne waala tha
aur naaraz ho gaya hoon main
dasht is baat par bahut khush hai
us ke hisse mein aa gaya hoon main
baatein hone lagi hain mere khilaaf
ya'ni mehfil se ja chuka hoon main
इस लिए तेज़ भागता हूँ मैं
अपने पीछे पड़ा हुआ हूँ मैं
घुप अंधेरे में रौशनी की तरह
उस की आँखों से गिर रहा हूँ मैं
मुझ को ग़म तो नहीं जुदाई का
ये मुरव्वत में रो रहा हूँ मैं
याद करना भी उस को छोड़ दिया
आख़िरी चाल चल चुका हूँ मैं
मेरी बातें मज़ाक़ में मत ले
ज़िंदगी तुझ से कुछ बड़ा हूँ मैं
मुझ से वो सुल्ह करने वाला था
और नाराज़ हो गया हूँ मैं
दश्त इस बात पर बहुत ख़ुश है
उस के हिस्से में आ गया हूँ मैं
बातें होने लगी हैं मेरे ख़िलाफ़
या'नी महफ़िल से जा चुका हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar
our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar
As you were reading Dard Shayari Shayari