tum samjhte ho zamaane ke liye aata tha
main tumhein sher sunaane ke liye aata tha
phir musannif ne bila-wajh mujhe maar diya
main kahaani mein hansaane ke liye aata tha
rafta rafta mujhe maaloom hua dhyaan us ka
saanp tha aur khazaane ke liye aata tha
mere bacchon ko yaqeen kaun dilaae ki yahan
chaand jheelon mein nahaane ke liye aata tha
rooth jaata tha main gaav mein bhi yoonhi mazhar
par wahan gaav manaane ke liye aata tha
तुम समझते हो ज़माने के लिए आता था
मैं तुम्हें शेर सुनाने के लिए आता था
फिर मुसन्निफ़ ने बिला-वज्ह मुझे मार दिया
मैं कहानी में हँसाने के लिए आता था
रफ़्ता रफ़्ता मुझे मालूम हुआ ध्यान उस का
साँप था और ख़ज़ाने के लिए आता था
मेरे बच्चों को यक़ीं कौन दिलाए कि यहाँ
चाँद झीलों में नहाने के लिए आता था
रूठ जाता था मैं गाँव में भी यूँही 'मज़हर'
पर वहाँ गाँव मनाने के लिए आता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar
our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari