zaruraton ke sabab kya se kya banaane laga
diya bana ke main khud hi hawa banaane laga
main pehle pehle banata raha khayal ka jism
phir us ke baad to jo bhi bana banaane laga
main is khayal mein gum tha ki kho gaya hoon kahi
ki dast-e-ghaib koi raasta banaane laga
mujhe laga ki ye duniya nayi nahin banti
so ehtimaam se misra naya banaane laga
hamaara us ka ta'alluq misaali hota tha
phir ek fasla is mein jagah banaane laga
ज़रूरतों के सबब क्या से क्या बनाने लगा
दिया बना के मैं ख़ुद ही हवा बनाने लगा
मैं पहले पहले बनाता रहा ख़याल का जिस्म
फिर उस के बाद तो जो भी बना बनाने लगा
मैं इस ख़याल में गुम था कि खो गया हूँ कहीं
कि दस्त-ए-ग़ैब कोई रास्ता बनाने लगा
मुझे लगा कि ये दुनिया नई नहीं बनती
सो एहतिमाम से मिस्रा नया बनाने लगा
हमारा उस का तअ'ल्लुक़ मिसाली होता था
फिर एक फ़ासला इस में जगह बनाने लगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsanul Haq Mazhar
our suggestion based on Ehsanul Haq Mazhar
As you were reading Nature Shayari Shayari