ye chatiyal sarzameen
tum ko mili
to tum ne be-barg-o-gayaah teele par
ik ma'bad bana daala
aur us mein ek but rakha
jise tum ne tarasha
aadmi ke ustukhwaan se
jis ke charnon mein chadhaavaa laaye tum
to apne bhaai ka
aur us ke hont ab tak khoon ki laali se rangeen hain
zabaan ab tak lahu ke zaa'iqe se tar hai
laao aur nazraana
ki ye ma'bad hai
main but hoon
mere hi tum pujaari ho
ye chatiyal sarzameen
mujh ko mili
to main ne bhuri charcharaati khushk mitti ko paseene ki nami bakshi
mere khun ki hararat ne zameen ke sang-e-yakh-basta ko pighlaayaa
zameen ki chaatiyon se zeest ke sote bahe
rangon ke chashme har taraf phoote
ye dharti sabz chadar odh kar dulhan bani nikli
aur is chadar mein main ne noor ke dhaage piro dale
ye ik tum ho
ki mere khoon se ma'bad banaate ho
ye ik main hoon
ki apne noor se dharti ke mandir ko sajaata hoon
ये चटियल सरज़मीं
तुम को मिली
तो तुम ने बे-बर्ग-ओ-गयाह टीले पर
इक मा'बद बना डाला
और उस में एक बुत रक्खा
जिसे तुम ने तराशा
आदमी के उस्तुख़्वाँ से
जिस के चरनों में चढ़ावा लाए तुम
तो अपने भाई का
और उस के होंट अब तक ख़ून की लाली से रंगीं हैं
ज़बाँ अब तक लहू के ज़ाइक़े से तर है
लाओ और नज़राना
कि ये मा'बद है
मैं बुत हूँ
मिरे ही तुम पुजारी हो
ये चटियल सरज़मीं
मुझ को मिली
तो मैं ने भूरी चरचराती ख़ुश्क मिट्टी को पसीने की नमी बख़्शी
मिरे ख़ूँ की हरारत ने ज़मीं के संग-ए-यख़-बस्ता को पिघलाया
ज़मीं की छातियों से ज़ीस्त के सोते बहे
रंगों के चश्मे हर तरफ़ फूटे
ये धरती सब्ज़ चादर ओढ़ कर दुल्हन बनी निकली
और इस चादर में मैं ने नूर के धागे पिरो डाले
ये इक तुम हो
कि मेरे ख़ून से मा'बद बनाते हो
ये इक मैं हूँ
कि अपने नूर से धरती के मंदिर को सजाता हूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ejaz Farooqi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari