paani paani
har soo paani
paani be-haiat be-soorat
saaghar mein saaghar ban jaaye
phoolon par ye shabnam
aankhon mein ye aansu
ud jaaye to baadal
bah jaaye to dariya
phaile to ik saagar
paani be-haiat be-soorat
paani
devataaon ka ek muqaddas ras hai
zeest ka bahta dhaara
chaandi ki kashti ka jhoola
main bhi paani
naddi ban kar bahta jaaun
sakht chataanon ka dil cheeroon
dharti ke haathon par rekha kheenchuun
पानी पानी
हर सू पानी
पानी बे-हैअत बे-सूरत
साग़र में साग़र बन जाए
फूलों पर ये शबनम
आँखों में ये आँसू
उड़ जाए तो बादल
बह जाए तो दरिया
फैले तो इक सागर
पानी बे-हैअत बे-सूरत
पानी
देवताओं का एक मुक़द्दस रस है
ज़ीस्त का बहता धारा
चाँदी की कश्ती का झूला
मैं भी पानी
नद्दी बन कर बहता जाऊँ
सख़्त चटानों का दिल चीरूँ
धरती के हाथों पर रेखा खींचूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ejaz Farooqi
As you were reading Aam Shayari Shayari